Har pal saath rehna hai jab tak zindagi saath degi,
Teri Meri kahani ki kismat khud hi to likhna hai,
Yahin to chalna hai saath aur kahan kr rhe ho intezar tum,
Zindagi k is mauke ko ab na chodna ,
Ek baar jo choot gayi to phir kya pata mile na mile dobara,
Kyunki abhi hi to hai kal ka kya bharosa hai,
Khamosh kyun ho intezar mein khud hi to ladna hai,
Are nafrat kab tak karoge pyar bhi to karna hai,
Kyun johte ho duje ka muh , aine mein to tum hi dikhte ho ,
Kya khush ho tum ab tak kya itna hi kehna tha ab tak, aawaz uchi kr k to dekho ,
Kisi ko to sunna hai, jindagi saath degi jab tak , tab tak hi to chalna hai ,
Bas chal lo kyunki kya pata kal ho na ho