Gum ka naam hai jindagi..
Khushi ka naam hai jindagi...
Har lamha kuch naya sikhati hai jindagi..
Isi ka naam hai jindagi...
Kabhi dukh or vismay mein dubna hai jindagi..
Tou kabhi ghee ke diye jalana hai jindagi...
Kabhi phoolon ki bahaar aana hai jindagi...
Isi ka naam hai jindagi..
Kisi achhe insaan se milna hai jindagi..
Fir bichad jaana bhi hai jindagi...
Kabhi bure insaan ka aagman bhi hai jindagi ..
Uske sang jindagi bitana hai jindagi ...
Isi ka naam hai jindagi...
Kabhi hasna hai jindagi..
Kabhi rona hai jindagi...
Kisi ko khona bhi hai jindagi ...
Kisi ko paana bhi hai jindagi...
Isi ka naam hai jindagi...
Kisi ke liye jeena hai jindagi...
Kabhi khud mar jaana bhi hai jindagi...
Subah ka naam bhi jindagi..
Raat bhi hai jindagi...
Isi ka naam hai jindagi...
Kabhi dhoop mein hai jindagi..
Kabhi chaun mein hai jindagi...
Gum mein muskurana bhi hai jindagi..
Isi ka naam hai jindagi..