Dharmantran ki is aag ne
Ye kaisa chakkar chala diya
Sansad se lekar sadko tak
Ye kaisa manjar dikha diya
Kuchh anjane chehro ko
Media ne heero bana diya
Jaan boojh kar un logo ne
Desh ki ekta par hi kalank laga diya
Unki is harkat ne
Un gareebo ko hi rula diya
Desh ke Aman chain ko
Ye kisne grahan laga diya
Satay ahinsa ke path par jisne
Apna jeewan laga diya
Ham baat kar rahe Gandhi ki
Jinko in logo ne hi bisra diya
Gandhi ko bisra kar in logo ne
Godse ko heero bana diya!!!!