Dharti par sir duniya jhukati,
Aasmaan mein dua Qubool ho jati.
Kudrat ka kaisa hai karishma,
Bheegi aankho se muskurane ka alag hi hai mja.
Haste haste palkein bheeg jaana bhi alag hai kahani,
Baat keh ke tou koi bhi samajh leta dil ki zubani.
Khamoshiya koi samjhne wala ho,
Zindagi ka geet hi badal de wo.
Kisi ki achhai ka itna fayda na uthao sahab,
Ki wo bura bnne par majboor ho jaye janaab.
Insaan ko takleef tab itni nahi hoti jab jab koi apna dur chala hai jaata,
Takleef tou tab hoti hai jab paas hokar bhi duriyon ka aasmaan chhata.
Dil agar roya na hota,
Ankhiyon ko yu bighoya.
Ki sir ke neeche rakkha takiya bhi kehta,
Dil ne beshumaar baarish ki mai geela ho baitha.
Khamoshiya bewajah nahi hoti,
Kuch dard awaaz cheen le jati.