Dil jara sambhal jao waqt ka ishara hai
Aashiqi ka mausam hai ishq ka nazara hai
Bhini-bhini khamoshi meethi-meethi tanhai
Duniya m jise dekho bekhudi ka mara hai
Husn ki numaish hai isliye sitaron ne
Belibaz chanda ko jheel m utara hai
Faisla kare kaise kaun kis pe bhari hai
Wo jise mohabbat ne dard se nikhara hai
Jis haseen lamhe ka intezar tha humko
Aaj wo hansi lamha khud bkhud humara hai
Kya hua agar humko tairna nahi aata
Pyar ke samundar m har lehar kinara hai.....