Fariyaad..
Har lamha unhe yaad kiya karte hai,
Pal pal unpar barbaad kiya karte hai,
Phir bhi kya shikayat hai unhe?
Wo hamse Fariyaad kiya karte hai..
Unse ki mulaqaate! Hamare khwaab aabaad kiya karte hai,
Sambhalkar hum khud ko aazaad kiya karte hai,
Phir bhi kya fitrat hai unki?
Wo hamse fariyaad kiya karte hai..
Hame kuch khass aata nahi par wo daad diya karte hai,
Aisi Shayari unhe likh diya karte hai,
Samajh se bahaar hai mohabbat unki.
Ya phir hai koi shararat unki?
Wo hamse fariyaad kiya karte hai,
Jis din samajh aayi unki shararat aur fitrat,
Samajh aaya wo kisi aur se mohabbat krte hai,
Tha hamara koi hai unka bhi koi,
Ab ham unse fariyaad kiya karte hai,
Ab ham unse fariyaad kiya karte hai,