Ye tera shahar ye mera shahar,
Ye to hai ham sabka shahar,
Yaha ki hawao mai bhi ab faila hai jahar
Mere is shahar ko lagi kiski ye najar,
Jaha aourto ki cheekh hai,
Aur baccho ki siskiya,
Hawa jaha ki sard hai,
Aur band jaha ki khidkiya,
Saj rahi chita jaha,
Armano ki jaha hai asthiya.
Yaha jindgi hai to rahi,
Maao ki jaha hai hichkiya,
Tuta mere shahar pe kiska ye kahar,
Ye tera shahar........
Mout jaha hai bant rahi,
Aur chal rahi hai aariya,
Jeena yaha dushvar hua hoti yaha yaar Mariya,
Manjil ka kahi pata nahi jeevan mai jaha dushvariya,
Koi puchhe vala nahi faili yaha ye bimariya,
Ab to is shahar se bhi lagta hai dar,
Ye tera shahar ye mera shahar.