Wo phone ki ghanti,
Jab thi bajti.
Har takleef takleef na rehti,
Ankhiyon se nadiya hai behti.
Aaj bhi aapki ringtone,
Kar deti hai mujhe maun.
"Yashomati maiya se bole nandlala,
Radha kyu gori mai kyu kaala ".
Maa jab bhi ye geet sunti hu aaj,
Aankho se barsaat aur band awaaz,
Laga nahi sakti ab mai tujhe phone,
Na jaane uthayega kaun ?
Kaash swarg mein bhi hota koi phone,
Sun sakti mai apni maa ki awaaz us ore.
Dard hai seene mein bahut kise bataun ?
Tujhe paane ke liye mai khuda se bhi lad jaun.
Namastey kehne ka aapka andaaz,
Aaj bhi gunjti hai meri ruh mein wo pyaari si awaaz.
Qismat wale hote hai wo,
Jinke paas maa ka saath ho.
Kaash meri umar bhi tujhe lag jaati,
Teri yaad har pal mujhe hai tadpati.
Kahan chali gayi maa tu ?
Bata de apna pata jaha mai tujhe dhundh saku.
Maa teri awaaz mere har dard ka hai marham,
Teri gaud mein kaash fir se so sakein hum.
Jaroorat hai teri,
Bataye mujhe koi kahan hai maa meri ?
Aath baras ho gaye maa teri awaaz sune,
Poore kar rahi hu har wo sapne jo tune bune.
Kaise kahun tujh bin nahi jee sakti mai,
Pyaase ko teri pyaas hai.
Tarasti hai meri baahein un baahon ko gale lagane ko,
Hey ishwar lauta do meri maa mujhko.
Charano mein hu aaj tumhare,
Ek beti maa ko baar baar pukare.
Dedo vapis meri maa,
Maa aaja maa aaja.