Kaun aaya hai dil ke dwaare dastak dene,
Hichkiyan rukne ka naam hi na le.
Kaun itni shiddat se yaad kar raha hai humein,
Dadhkano ki har awaaz mein paate hain sirf tumhein.
Aapki har baat yaad kar bewajah muskurate,
Sab humein jhalli si pagli keh jaate.
Is qadar khoye se rehne lage hain hum,
Jaise chandani ke bin chand hai num.
Diya adura hai baati ke bin jaise,
Adhure hain hum aapke bin waise.
Kore kagaz mein siyahi se rang sajate,
Maathe par tilak aapke naam ka lagate.
Mere mahadev tumse judi hai ye hayat meri,
Shivai ke sang aapki shivani hai poori.
Aapka saath hamare liye saanso se jyada hai pyaara,
Daastan sunata hai aasmaan mein chamakta ek taara.
Aapke aane se is zindagi mein hai bahaar aayi,
Jaise ek kalam ko poora karti hai uski siyahi.
Aapke naam se judega jab hamara naam,
Milega dil ko dadhkano ka khubsurat paigaam