heege hain naina
aaye na chaina
milne ki hai aas dosto se
pukaar rhein hai dil se
dur hokar bhi paas hote hai ye yaar
mile inko poore jahan ka pyaar
yaad aati hai bhut yaaro ki
gujarish hai khuda se milane ki
yaaro ki yaari
hai jag se nyari
bin kuch kahe sab samajh jaate hai dil ka haal
kaisa hai ye kamaal
dil ki guhaar
sun li us dil ne pukaar
dil ki awaaz bhi pahuch jaati hai us dil tak
mil jaate hai sab hak
oh mere khuda
kabhi na ho dost juda
bhar dena unke daaman mein khushiyan
hogi aapki meharbaniyan
dil hai aapke dar par dastak
jhukati hu apna mastak
poori krna in doston ki hr aas
hai ye sab bhut khaas
baat tey hai ye har gum
ho kbhi inki aankhe num
dete hain ye har waqt saath
jab koi nhi hota, oo mere naath
ban jaate hain parchayi
dosti mein hai gehrayi
rahein mere dost salamat
krdo bs itni rehmat