Diwaron mein chunva diya kuch yaadon ko,
Khamakha anarkali bni fir rhi aakhir kyo ?
Kuch ruthe lamhe kuch khwaab tute,
Har kadam par kaanch bnkar chubhte.
Bhut khamoshi se toot jaate hain dil,
Jaane kya jaata hai unhe mil.
Fursat mein karenge tujhse hisaab aye zindagi,
Abhi tou ghayal parinde hain hum bachi hai saadgi.
Taqdeer khud milne bahar hai khadi,
Rehne do masumiyat hamari bachi.
Waqt aane par sabko jawab milenge,
Chehre aur alfaaz sabke yaad hain mujhe.
Tabiyat kharabh hai meri rooh ki,
Kya do ghut ki neend mil skti?
Chalte rahenge kaafile hamare bina bhi,
Ek sitara toot bhi jaye agar falak tanha nahi.
Agar dilon ko padhna koi seekh le,
Sab ke dil hi dehal jaye,
Likhu agr mann ki shabd jayenge rooth,
Maa ne bolna sikhaya nahi jhooth.
Sach likhu tou apne ho jayenge tabah,
Ashqon ko ankhiyon mein di panah.
Hey ishwar mujhpar ek ehsaan kr do,
Mera kafan meri maa ka dupatta ho.
Kuch ho tou nahi par udaas hai ghadi,
Jaane kaise uljhan aan padi.
Yaad aa rhi hai bhut maa tumhari,
Tum bin zindagi adhuri hai hamari.
Sooraj dhalte hi badh jaati hai bechaini,
Koi milado humein humse hi.
Jaane kahan kho gaye hum,
Khush hain ya aankhein num.
Samjh hi nahi aata,
Dil hai ghabrata.
Vidhaata ki adalat,
Nyari hai vakalat.
Khamoshi se toot jaate,
Khud ko khud hi dhundh na paate.