AANSU
Palkon ki shayya sae,
Nikal bhag ayen kuchh moti,
Chamak bikherae ja rahain
Kar safar,naram gulabi parvat ki,
Ho swatantra,wo bah jati hain,
Chhoti si thuddi ghati sae,
Gir rahi hain wo,
Dae kar vayu dev ko
Apna antim ek pranam,
Chamak bikherae ja rahi hain
Suraj ki tapti kirno ki.
Moti se yae khari bundain,
Gum ki toh pakki sathe hain
Par sukh mai bhe sath nibhati hain.
Chamak bikherae ja rahae hain
Man kai sachhae yar hamarae,
Yey dil ka haal batatain hain
Bina kahae toh sab kuchh yey kah jatae hain,
Bin inkae jevan suna hae
Bin inkae toh matam bhe adhura hae
Phir TISSUE PAPER aur NAPKIN sae
Tum kyon inko har bar hatatae ho?
Ashru nahi,hain yar tumharae
Jo har sukh-dukh mei sath nibhatae hain,
Kayar nahi hain BRAVE wahi jo
Aankhon ki seepe sae bhe moti apnae tapkatae hain.
Par