Acche logon ke saath hi bura kyu hota?
Rulane wala hasta aur hasane wala kyu hai rota?
Tootkar bikhar jaata hai dil itna,
Vishwaas krta hai koi tujhpar kitna.
Bhut seh liya khamoshiyon mein lipatkar jeena,
Kisi ko itna majboor na karna.
Ki jab sabar ka baan tute,
Tou wo aapki dhajjiya uda de.
Ankhiyon se chalak jaate hain aansu,
Jab dukhti hai rooh ki aabru.
Kisi ki masoomiyat ko thes na pahuchana,
Andar ka tufaan kehar deta hai macha.
Bahar se muskurate hain jinke chehre,
Unke jakham andar se utne hi hote hain gehre.
Dil jis baat se hai kaapta,
Rabb usi baat par hi aazmaata.
Log samjhte acche dil wale bewakoof hote,
Wo bewakoof nahi sahab wo bhi rote.
Bakhoobi jaante hain wo ki unke saath kaun kya kar raha,
Fir bhi wo sabko maaf kr deta aur muskura raha.
Hey ishwar jawaab de na tu kyu aachon ke saath bura hota,
Rulane wala hasta aur hasane wala kyu hai rota?
Uparwale ne kya khubsurat jawab diya,
Jo bure hain unke saath bura nahi kiya
Unke pass sab kuch hai hota,
Par khuda ka saath kabhi nahi hota.